Thursday, October 28, 2010

Mein kis kay hath pe apna lahu talash karon



The recent killing incidents in Karachi badly exposed the mental and intellectual bankruptcy of our leaders. They blamed each other for worst ever law and order situation instead of making meaningful efforts to overcome the deteriorating situation. One of the leading party member from Lyari begged Pakistan army to take over the city, the other coalition party also demanded for the deployment of army to control the election process in Karachi. I dont know, when will these so-called public leaders learn a lesson from the past? I think never.


However I am not going to discuss this mess, I want to discuss an interesting statement from responsible of a coalition party from Peshawar. He said, "Hamar paida hoone wala har bachha kisi bhi awaz se pehle bandooq ki goli ki awaz sunta hai, is liye humein majboor na kiya jaye agar hum ne bandooq utha li toh Karachi waloon ko kaheen jaga nahee milay ge".


Pakhtuns are a brave and hardworking cast and they should be proud of their contribution in wars and battles fought for the sake of our country and religion. But who are these people who are maligning pakhtuns with their ugly politics, they are not the true representatives of pakhtuns, neither the warlords in Afghanistan represent the whole pakhtun cast, instead they are responsible or the miseries and troubles, the pakhtuns facing in Pakistan and Afganistan.


Another epic from Zehra Nigah skillfully revelas the facts linked with this klashinkov politics.

Gul Badshah

Naam mera hai Gul Badshah,
Umr meri ha tera baras
Aur kahani meri, umr ki tarah ,
Mukhtasir, Mukhtasir , Muntashir, Muntashir
Meri be-naam be-chehra maa'n,
Be-dawa mar gayi
Baap ne usko burqay mein dafna diya
Usko darr tha kay munkar, nakeer uska chehra na dekh lain
Wasie zinda thee, tab bhi wo madfoon thee

Baap ka naam, zartaj gul, Umr battees baras
Wo mujahid, shahadat ka taalib
Raah e haq ka musafir hua
Aur jaam e shahadat bhi usne meray chaacha kay hathoon piya
Jo shamali mujahid tha, aur punj waqta namazi bhi thaa
To masala iss shahadat ka paichaida hai
Iss ko behtar yehi hai waheen chhorr dain

Ab baharhaal, baba to jannat mein hai
Uss ki banhoon mein hoor o qasur
Uss kay hathoon mein jaam e tahur
Meri taqdeer mein, bom dhamakay, dhuaan
Pighalti zamee'n aur bikharta hua aasmaa'n
Baad az maut wo zinda hai aur
Zindagi mujhse sharminda hai!

Kal sar e shaam dushman ne jaate huay
Bum kay humraah barsa diye
Mujh pe kuchh zard thhailay
Jin mein mujhko milay
Gol roti kay tukday
Aik makhhan ki tikya
Aur aik sharbat ki botal
Aur murabbay ka aik dabba
Iss kay badlay mein woh le gaye
Mere bhai ka dast e mushaqqat
Jis mein mannat ka dhora bandha thaa
meri chhoti behan ka woh paon, jis se rung e hina phhoot'ta thaa

log kahte hain yeh amn ki jang hai
Aur amn ki jang mein hamla-awar
Bachhoon ko be-dasta o paa chhortay hain
Unko bhooka nahee chhortay
Aakhir insaaniyat bhi koi cheez hai!

Mein dahaktay pahadoon mein tanha
Apne tarkay ki bandooq thamay khada hoon
Tamasha e ahl e karam dekhta thaa
Tamsaha e ahl e karam dekhta hoon
Naam mera hai Gul Badshah
Umr meri hai tera baras

Friday, October 22, 2010

SUNA HAI JUNGLUN KA BHI KOI DASTOOR HOTA HAI

I am feeling sad to start my blog with something sad, but the prevailing situation in our beloved city forced me to do so. I still remember when i first entered Karachi years ago, with sweet memories of my father and our old happy days. I still remember the days when we used to visit Karachi in winter holidays with our beloved father. How beautiful and peaceful was the city in those days? but what happened during last 20 years is a horrible reality for all karachiittes. The recent events of terror reminded me of the unfortunate events in the mid 90's, which caused thousands of death, destruction of property and business. This beautifull city deserved something defferent than this. God bless all Karachittes peace, safety and hormony.

Suna hai janglun ka bhi koi dastoor hota hai
Suna hai sher ka jab pait bhar jaye
to woh hamla nahee karta
Darakhton ki ghani chhaon mein ja kar let jata hai
Hawa kay taiz jhonke jab darakhton ko hilate hain
To maina apne bache chhor kar
Kawway kay andon ko paron mein tham leti hai
Suna hai ghonsle se koi bacha gir paray to
sara jungle jaag jata hai
Suan hai jab kisis naddi kay pani mein
baye kay ghonsle ka gandami saaya larazta hai
To naddi ki rupehli machhlyaan usko padosi maan leti hain
Koi tufan aa jaye koi pull toot jaye toh
Kisis lakri kay takhtay par
Gulehri, saanp, bakri aur cheetah sath hotay hain
Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai
Khuda wanda, jaleel o mohtbar
Daana o beena, munsif o akbar
Mere is shahr mein
Ab janglon ka he koi qanoon nafiz kar

ZEHRA NIGAH